Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

andeshon ke shahr mein rahna teri meri aadat hai

Qaisar Qalandar

andeshon ke shahr mein rahna teri meri aadat hai

Qaisar Qalandar

MORE BYQaisar Qalandar

    andeshoñ ke shahr meñ rahnā terī merī aadat hai

    mahrūmī ke sadme sahnā terī merī aadat hai

    armānoñ nāzuk mālā.eñ pahnānā shāmoñ ko

    yaad pavan ke saath bahnā terī merī aadat hai

    ḳhuub sulagte jaanā barfīle lamhoñ ke sāyoñ meñ

    dukh ek bhī lafz na kahnā terī merī aadat hai

    ḳhvāboñ se bahlānā dil ko ho jaanā behad masrūr

    logoñ ta.abīreñ sahnā terī merī aadat hai

    sub.h irāde din tadbīreñ shaam ḳhalish aur shab tashvīsh

    har hālat meñ zinda rahnā terī merī aadat hai

    qurb-e-'qaisar' be-bas honā duurī sah lenā rog

    jiine rūdād na kahnā terī merī aadat hai

    andeshon ke shahr mein rahna teri meri aadat hai

    mahrumi ke sadme sahna teri meri aadat hai

    armanon ki nazuk malaen pahnana shamon ko

    yaad pawan ke sath hi bahna teri meri aadat hai

    KHub sulagte jaana barfile lamhon ke sayon mein

    dukh ka ek bhi lafz na kahna teri meri aadat hai

    KHwabon se bahlana dil ko ho jaana behad masrur

    logon ki tabiren sahna teri meri aadat hai

    subh irade din tadbiren sham KHalish aur shab tashwish

    har haalat mein zinda rahna teri meri aadat hai

    qurb-e-'qaisar' be-bas hona duri ka sah lena rog

    jine ki rudad na kahna teri meri aadat hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 277)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now