andheri galiyon se un ko yahan nikala hai
añdherī galiyoñ se un ko yahāñ nikālā hai
bahut se log haiñ ham ne jinheñ sañbhālā hai
yahāñ pe vaise to āzād haiñ sabhī lekin
magar zabān pe har ik bashar kī taalā hai
'ajīb baat hai ḳhud hī vafā-parastoñ ne
mohabbatoñ kā janāza yahāñ nikālā hai
huzūr ham se koī kyā huī hai gustāḳhī
ye sirf jumla hai patthar nahīñ uchhālā hai
jo khā ke bachche amīroñ ke chhoḌ dete haiñ
ġharīb logoñ ke bachchoñ kā vo nivāla hai
re'āyā ḳhush thī ki jamhūriyat bahāl huī
siyāsatoñ ne koī aur rog paalā hai
jo vaqt jaatā hai vāpas kabhī nahīñ aatā
'sabā' ye soch ke ham ne ise sañbhālā hai
andheri galiyon se un ko yahan nikala hai
bahut se log hain hum ne jinhen sanbhaala hai
yahan pe waise to aazad hain sabhi lekin
magar zaban pe har ek bashar ki tala hai
'ajib baat hai KHud hi wafa-paraston ne
mohabbaton ka janaza yahan nikala hai
huzur hum se koi kya hui hai gustaKHi
ye sirf jumla hai patthar nahin uchhaala hai
jo kha ke bachche amiron ke chhoD dete hain
gharib logon ke bachchon ka wo niwala hai
re'aya KHush thi ki jamhuriyat bahaal hui
siyasaton ne koi aur rog pala hai
jo waqt jata hai wapas kabhi nahin aata
'saba' ye soch ke hum ne ise sanbhaala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.