apna gham sine mein aabaad kiye jaenge
apna gham sine mein aabaad kiye jaenge
Dheerendra Singh Faiyaz
MORE BYDheerendra Singh Faiyaz
apnā ġham siine meñ ābād kiye jā.eñge
dil-e-mā'sūm ko nāshād kiye jā.eñge
apne nāḳhun se udheḌeñge shikan māthe kī
aañkh se aañsū bhī āzād kiye jā.eñge
pahle āñkhoñ ko kisī taur kareñge gūñgā
phir ḳhamoshī se tujhe yaad kiye jā.eñge
vo banā.eñge na.ī qism kā aañsū koī
aur kuchh dukh na.e ījād kiye jā.eñge
ham ki jo 'ishq meñ ābād hue phirte haiñ
ham sabhī hijr meñ barbād kiye jā.eñge
tū bhale hī na sadāoñ pe dhare kaan magar
ham tire sāmne fariyād kiye jā.eñge
apna gham sine mein aabaad kiye jaenge
dil-e-ma'sum ko nashad kiye jaenge
apne naKHun se udheDenge shikan mathe ki
aankh se aansu bhi aazad kiye jaenge
pahle aankhon ko kisi taur karenge gunga
phir KHamoshi se tujhe yaad kiye jaenge
wo banaenge nai qism ka aansu koi
aur kuchh dukh nae ijad kiye jaenge
hum ki jo 'ishq mein aabaad hue phirte hain
hum sabhi hijr mein barbaad kiye jaenge
tu bhale hi na sadaon pe dhare kan magar
hum tere samne fariyaad kiye jaenge
- Book : Khaamushi Raasta Nikaalegi (Pg. 41)
- Author : Dheerendra Singh Faiyaz
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.