Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna muhasba kabhi karne nahin diya

Obaidur Rahman

apna muhasba kabhi karne nahin diya

Obaidur Rahman

MORE BYObaidur Rahman

    apnā muhāsba kabhī karne nahīñ diyā

    ḳhud-bīniyoñ ne ham ko sañvarne nahīñ diyā

    hālāt ne agarche sujhā.ī gadāgarī

    merī anā ne mujh ko bikharne nahīñ diyā

    tūfāñ se khelne rahā shauq umr bhar

    sāhil pe jis ne mujh ko utarne nahīñ diyā

    almāriyoñ meñ qaid rahā apnā saarā ilm

    qalb-o-nazar ko ham ne nikharne nahīñ diyā

    duniyā se kab uTh gayā hotā maiñ ai sanam

    lekin tire ḳhayāl ne marne nahīñ diyā

    manzil to mere sāmne aatī rahī 'obaid'

    josh-e-junūñ ne mujh ko Thaharne nahīñ diyā

    apna muhasba kabhi karne nahin diya

    KHud-biniyon ne hum ko sanwarne nahin diya

    haalat ne agarche sujhai gadagari

    meri ana ne mujh ko bikharne nahin diya

    tufan se khelne ka raha shauq umr bhar

    sahil pe jis ne mujh ko utarne nahin diya

    almariyon mein qaid raha apna sara ilm

    qalb-o-nazar ko hum ne nikharne nahin diya

    duniya se kab ka uTh gaya hota main ai sanam

    lekin tere KHayal ne marne nahin diya

    manzil to mere samne aati rahi 'obaid'

    josh-e-junun ne mujh ko Thaharne nahin diya

    Source:

    Aawaz Ke Saye (Poetry) (Pg. 49)

    • Author: Obaidur Rahman
      • Edition: 2001
      • Publisher: Sehla Obaid
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now