Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apna to KHair zikr kya koi nahin nigah mein

Kabir Ahmad Jaisi

apna to KHair zikr kya koi nahin nigah mein

Kabir Ahmad Jaisi

MORE BYKabir Ahmad Jaisi

    apnā to ḳhair zikr kyā koī nahīñ nigāh meñ

    umr tamām ho ga.ī chhoTe se ik gunāh meñ

    kis ḳhirām-e-nāz thā kaun thā ġham raah meñ

    nuur ik chamak uThā qalb-e-shab-e-siyāh meñ

    kaun samajh sake use rabt-e-nihāñ baat hai

    husn har adā milī ishq ke ishtibāh meñ

    terī nigāh-e-nīm-vā kaam to apnā kar ga.ī

    kaif-e-davām de ga.ī kulfat-e-gāh-gāh meñ

    dekho charāġh-e-āgahī rāh-e-junūñ meñ bujh gayā

    aql ke hosh gum haiñ ab ek intibāh meñ

    ek maqām hai jahāñ ek haiñ aks-o-ā.ina

    ishq ko ke dekhiye husn jalva-gāh meñ

    dekh rahī hai aaj bhī merī nigāh-e-garm-o-tez

    chhupne ko chhup ga.e ho tum parda-e-mehr-o-māh meñ

    mahfil-e-zīst meñ 'sabā' hogā nazar haal kyā

    aag jab bhaḌak uThī qalb-e-junūñ-panāh meñ

    apna to KHair zikr kya koi nahin nigah mein

    umr tamam ho gai chhoTe se ek gunah mein

    kis ka KHiram-e-naz tha kaun tha gham ki rah mein

    nur sa ek chamak uTha qalb-e-shab-e-siyah mein

    kaun samajh sake use rabt-e-nihan ki baat hai

    husn ki har ada mili ishq ke ishtibah mein

    teri nigah-e-nim-wa kaam to apna kar gai

    kaif-e-dawam de gai kulfat-e-gah-gah mein

    dekho charagh-e-agahi rah-e-junun mein bujh gaya

    aql ke hosh gum hain ab ek hi intibah mein

    ek maqam hai jahan ek hain aks-o-aina

    ishq ko ja ke dekhiye husn ki jalwa-gah mein

    dekh rahi hai aaj bhi meri nigah-e-garm-o-tez

    chhupne ko chhup gae ho tum parda-e-mehr-o-mah mein

    mahfil-e-zist mein 'saba' hoga nazar ka haal kya

    aag si jab bhaDak uThi qalb-e-junun-panah mein

    Source:

    Javedan-e-Mizrab (Pg. 71)

    • Author: Kabir Ahmad Jaisi
      • Publisher: Qirtas, Lyallpur
      • Year of Publication: 2008
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now