apne aanchal ko sitaron se sajaun kaise
apne aanchal ko sitaron se sajaun kaise
Asma Mohammad Shahid Khan
MORE BYAsma Mohammad Shahid Khan
apne āñchal ko sitāroñ se sajā.ūñ kaise
us kī āñkhoñ meñ na.e ḳhvāb basā.ūñ kaise
chāñd hotā to use dil meñ chhupā bhī letī
vo to sūraj hai use ghar meñ bulā.ūñ kaise
ek lamhe meñ badal jā.egī duniyā merī
us kī rotī huī āñkhoñ ko hañsā.ūñ kaise
dekh vīrān sī lagtī hai ye bastī dil kī
rūThne vaale batā tujh ko manā.ūñ kaise
saarī duniyā ko ḳhabar hai mire dil kī 'asmā'
rāz-e-dil us ko magar apnā batā.ūñ kaise
apne aanchal ko sitaron se sajaun kaise
us ki aankhon mein nae KHwab basaun kaise
chand hota to use dil mein chhupa bhi leti
wo to suraj hai use ghar mein bulaun kaise
ek lamhe mein badal jaegi duniya meri
us ki roti hui aankhon ko hansaun kaise
dekh viran si lagti hai ye basti dil ki
ruThne wale bata tujh ko manaun kaise
sari duniya ko KHabar hai mere dil ki 'asma'
raaz-e-dil us ko magar apna bataun kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.