apne ausaf mein kaamil nahin ho sakta main
apne ausāf meñ kāmil nahīñ ho saktā maiñ
jāntā huuñ tire qābil nahīñ ho saktā maiñ
shahr kā haal ab aisā hai zarā der agar
niiñd aa.e bhī to ġhāfil nahīñ ho saktā maiñ
jī to kartā hai mirā apne gale se lag jā.ūñ
lekin ā.īne meñ dāḳhil nahīñ ho saktā maiñ
mujh pe is jurm kā ilzām ġhalat hai sāhab
maiñ huuñ maqtūl to qātil nahīñ ho saktā maiñ
dastyābī mirī mumkin hai sabhī ko lekin
ḳhud ko 'āsim' kabhī hāsil nahīñ ho saktā maiñ
apne ausaf mein kaamil nahin ho sakta main
jaanta hun tere qabil nahin ho sakta main
shahr ka haal ab aisa hai zara der agar
nind aae bhi to ghafil nahin ho sakta main
ji to karta hai mera apne gale se lag jaun
lekin aaine mein daKHil nahin ho sakta main
mujh pe is jurm ka ilzam ghalat hai sahab
main hun maqtul to qatil nahin ho sakta main
dastyabi meri mumkin hai sabhi ko lekin
KHud ko 'asim' kabhi hasil nahin ho sakta main
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 111)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.