apne be-nur charaghon ko ziya di jae
apne be-nūr charāġhoñ ko ziyā dī jaa.e
na ki hamsā.e kī qindīl bujhā dī jaa.e
sub.h-e-kāzib hai koī mil ke sadā dī jaa.e
ye siyah dhuup kī dīvār girā dī jaa.e
naġhma-o-nai se ubhāreñ koī tasvīr-e-junūñ
jis meñ sho'loñ kī lapak ho vo sadā dī jaa.e
rāz-e-ġham majlis-e-ahbāb kī tafrīh nahīñ
ā.ina-ḳhāne meñ kyoñ sham' jalā dī jaa.e
rāste qāfile vāloñ kī nazar meñ haiñ tamām
dhuul se laakh bagūloñ ko havā dī jaa.e
shukriya tū mirī fitrat hai magar saa.e to hoñ
dasht se dhuup kī jājim to uThā dī jaa.e
jis kā muddat se hai shīshe ke makānoñ meñ rivāj
ham pe us 'ishq kī tohmat na lagā dī jaa.e
yuuñ bhī hotā hai kahīñ jaur-e-bahārāñ kā 'ilāj
phuul kī shakl bhī kāñTe se milā dī jaa.e
jin ke ash'ār se ho garm javānoñ kā lahū
kyoñ musalsal unheñ fāqoñ kī sazā dī jaa.e
dār-o-zindāñ kā to ik shor bapā hai lekin
koī jiine kī to tadbīr batā dī jaa.e
har ufuq se mirī āvāz palaT aatī hai
kis darīche se unheñ jā ke sadā dī jaa.e
ek afsāna hai hāthoñ se garebānoñ tak
baat bahroñ ko sunā kar na gañvā dī jaa.e
ik musavvir ne jo sauñpī thī amānat kī tarah
baa'z kahte haiñ vo tasvīr miTā dī jaa.e
jin ko be-vaqt murā'āt ne baḳhshā hai junūñ
un pe kuchh qaid-e-sharāfat bhī lagā dī jaa.e
inqilābāt haiñ ḳhud apne usūloñ kā javāz
ab ke aa.iin meñ ye shiq bhī baḌhā dī jaa.e
jis kī tahzīb musalmāñ se sañbhālī na ga.ī
phir usī kū-e-tajallī meñ sadā dī jaa.e
qabr ke chaukhTe ḳhālī haiñ unheñ mat bhūlo
jaane kab kaun sī tasvīr lagā dī jaa.e
farz hai us pe mohammad kī ġhulāmī 'dānish'
jis kī tahvīl meñ maḳhlūq-e-ḳhudā dī jaa.e
apne be-nur charaghon ko ziya di jae
na ki hamsae ki qindil bujha di jae
subh-e-kazib hai koi mil ke sada di jae
ye siyah dhup ki diwar gira di jae
naghma-o-nai se ubhaaren koi taswir-e-junun
jis mein sho'lon ki lapak ho wo sada di jae
raaz-e-gham majlis-e-ahbab ki tafrih nahin
aaina-KHane mein kyon sham' jala di jae
raste qafile walon ki nazar mein hain tamam
dhul se lakh bagulon ko hawa di jae
shukriya tu meri fitrat hai magar sae to hon
dasht se dhup ki jajim to uTha di jae
jis ka muddat se hai shishe ke makanon mein riwaj
hum pe us 'ishq ki tohmat na laga di jae
yun bhi hota hai kahin jaur-e-bahaaran ka 'ilaj
phul ki shakl bhi kanTe se mila di jae
jin ke ash'ar se ho garm jawanon ka lahu
kyon musalsal unhen faqon ki saza di jae
dar-o-zindan ka to ek shor bapa hai lekin
koi jine ki to tadbir bata di jae
har ufuq se meri aawaz palaT aati hai
kis dariche se unhen ja ke sada di jae
ek afsana hai hathon se garebanon tak
baat bahron ko suna kar na ganwa di jae
ek musawwir ne jo saunpi thi amanat ki tarah
ba'z kahte hain wo taswir miTa di jae
jin ko be-waqt mura'at ne baKHsha hai junun
un pe kuchh qaid-e-sharafat bhi laga di jae
inqilabaat hain KHud apne usulon ka jawaz
ab ke aain mein ye shiq bhi baDha di jae
jis ki tahzib musalman se sanbhaali na gai
phir usi ku-e-tajalli mein sada di jae
qabr ke chaukhTe KHali hain unhen mat bhulo
jaane kab kaun si taswir laga di jae
farz hai us pe mohammad ki ghulami 'danish'
jis ki tahwil mein maKHluq-e-KHuda di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.