apne daman mein bhi gulzar liye phirti hai
apne dāman meñ bhī gulzār liye phirtī hai
us kī ḳhushbū mujhe us paar liye phirtī hai
ye to mumkin nahīñ sab raaz mire tujh pe khuleñ
merī hastī ka.ī asrār liye phirtī hai
apnī hājāt ko mahdūd kiyā hai phir bhī
terī ḳhvāhish sar-e-bāzār liye phirtī hai
kyā kahūñ dil meñ to ik ḳhuun kā qatra bhī nahīñ
koī quvvat mujhe sarkār liye phirtī hai
aaj bhī kaasa liye phirte haiñ iflās-zada
kaj-kulāhī vahī talvār liye phirtī hai
apne daman mein bhi gulzar liye phirti hai
us ki KHushbu mujhe us par liye phirti hai
ye to mumkin nahin sab raaz mere tujh pe khulen
meri hasti kai asrar liye phirti hai
apni hajat ko mahdud kiya hai phir bhi
teri KHwahish sar-e-bazar liye phirti hai
kya kahun dil mein to ek KHun ka qatra bhi nahin
koi quwwat mujhe sarkar liye phirti hai
aaj bhi kasa liye phirte hain iflas-zada
kaj-kulahi wahi talwar liye phirti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.