Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai

Khalid Ahmad

apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai

Khalid Ahmad

MORE BYKhalid Ahmad

    apne dil haal na kahnā kaisā lagtā hai

    tum ko apnā chup chup rahnā kaisā lagtā hai

    dukh būñdeñ kyā tum ko bhī khātī rahtī haiñ

    āhista āhista Dhahnā kaisā lagtā hai

    dard bharī rāteñ jis dam halkore detī haiñ

    dariyāoñ ke ruḳh par bahnā kaisā lagtā hai

    maiñ to apnī dhun meñ chakrāyā phirtā huuñ

    tum ko apnī mauj meñ rahnā kaisā lagtā hai

    kyā tum bhī sāhil sūrat kaTte rahte ho

    pal pal ġham lahreñ sahnā kaisā lagtā hai

    kyā shāmeñ tum ko bhī shab bhar be-kal rakhtī haiñ

    tum sūraj ho tum ko lahnā kaisā lagtā hai

    kyā tum bhī galiyoñ meñ ghar vus.at paate ho

    tum ko ghar se bāhar rahnā kaisā lagtā hai

    kam-āhañg suroñ meñ tum kyā gaate rahte ho

    kuchh bhī na sunñā kuchh bhī na kahnā kaisā lagtā hai

    dard to sāñsoñ meñ baste haiñ kaun dikhā.e tumheñ

    phūloñ par ḳhushbū gahna kaisā lagtā hai

    apne dil ka haal na kahna kaisa lagta hai

    tum ko apna chup chup rahna kaisa lagta hai

    dukh ki bunden kya tum ko bhi khati rahti hain

    aahista aahista Dhahna kaisa lagta hai

    dard bhari raaten jis dam halkore deti hain

    dariyaon ke ruKH par bahna kaisa lagta hai

    main to apni dhun mein chakraya sa phirta hun

    tum ko apni mauj mein rahna kaisa lagta hai

    kya tum bhi sahil ki surat kaTte rahte ho

    pal pal gham ki lahren sahna kaisa lagta hai

    kya shamen tum ko bhi shab bhar be-kal rakhti hain

    tum suraj ho tum ko lahna kaisa lagta hai

    kya tum bhi galiyon mein ghar ki wusat pate ho

    tum ko ghar se bahar rahna kaisa lagta hai

    kam-ahang suron mein tum kya gate rahte ho

    kuchh bhi na sunna kuchh bhi na kahna kaisa lagta hai

    dard to sanson mein baste hain kaun dikhae tumhein

    phulon par KHushbu ka gahna kaisa lagta hai

    Source:

    Funoon (Monthly) (Pg. 532)

    • Author: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Edition: 25Edition Nov. Dec. 1986
      • Publisher: 4 Maklood Road, Lahore
      • Year of Publication: 25Edition Nov. Dec. 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now