aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apne hamrah KHud chala karna

Ameer Qazalbash

apne hamrah KHud chala karna

Ameer Qazalbash

MORE BYAmeer Qazalbash

    apne hamrāh ḳhud chalā karnā

    kaun aa.egā mat rukā karnā

    ḳhud ko pahchānñe koshish meñ

    der tak aa.ina takā karnā

    ruḳh agar bastiyoñ jānib hai

    har taraf dekh kar chalā karnā

    vo payambar thā bhuul jaatā thā

    sirf apne liye duā karnā

    yaar kyā zindagī hai sūraj

    sub.h se shaam tak jalā karnā

    kuchh to apnī ḳhabar mile mujh ko

    mere baare meñ kuchh kahā karnā

    maiñ tumheñ āzmā.ūñgā ab ke

    tum mohabbat intihā karnā

    us ne sach bol kar bhī dekhā hai

    jis aadat hai chup rahā karnā

    apne hamrah KHud chala karna

    kaun aaega mat ruka karna

    KHud ko pahchanne ki koshish mein

    der tak aaina taka karna

    ruKH agar bastiyon ki jaanib hai

    har taraf dekh kar chala karna

    wo payambar tha bhul jata tha

    sirf apne liye dua karna

    yar kya zindagi hai suraj ki

    subh se sham tak jala karna

    kuchh to apni KHabar mile mujh ko

    mere bare mein kuchh kaha karna

    main tumhein aazmaunga ab ke

    tum mohabbat ki intiha karna

    us ne sach bol kar bhi dekha hai

    jis ki aadat hai chup raha karna

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    apne hamrah KHud chala karna Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now