apne sine se dil riha kar dun
apne siine se dil rihā kar duuñ
ik nayā she'r hai 'atā kar duuñ
vaise har chiiz de rakhī hai use
us kī chāhat hai kuchh kamā kar duuñ
kyā masal kar gulāb bhejūñ use
kyā charāġhoñ ko bhī bujhā kar duuñ
vaise maiñ kaun dene vaalā huuñ
kuchh agar duuñ to sar jhukā kar duuñ
dil ko is kashmakash meñ kyoñ rakkhūñ
is se behtar hai faisla kar duuñ
apne sine se dil riha kar dun
ek naya she'r hai 'ata kar dun
waise har chiz de rakhi hai use
us ki chahat hai kuchh kama kar dun
kya masal kar gulab bhejun use
kya charaghon ko bhi bujha kar dun
waise main kaun dene wala hun
kuchh agar dun to sar jhuka kar dun
dil ko is kashmakash mein kyon rakkhun
is se behtar hai faisla kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.