apni har ek ada mein bahut dil-nashin tha
apnī har ik adā meñ bahut dil-nashīn thā
vo qatl kar ke mere hī dil kā makīn thā
ye thā fareb-e-husn yā husn-e-fareb thā
har sang-e-rahguzar jo milā vo hasīn thā
raushan the merī āñkhoñ meñ har-sū charāġh-e-shauq
hastī sarāb thī tirā milnā yaqīn thā
fitrat meñ bevafā.ī thī lekin mire liye
ḳhushbū bikhertā huā lahja amiin thā
sachchā ho 'ishq jaise zuleḳhā kā 'ishq thā
chehra ho jaise chehra-e-yūsuf hasīn thā
'naqvī' jo muskurātā rahā dil ko toḌ ke
us ke har ek makr pe sad-āfrīn thā
apni har ek ada mein bahut dil-nashin tha
wo qatl kar ke mere hi dil ka makin tha
ye tha fareb-e-husn ya husn-e-fareb tha
har sang-e-rahguzar jo mila wo hasin tha
raushan the meri aankhon mein har-su charagh-e-shauq
hasti sarab thi tera milna yaqin tha
fitrat mein bewafai thi lekin mere liye
KHushbu bikherta hua lahja amin tha
sachcha ho 'ishq jaise zuleKHa ka 'ishq tha
chehra ho jaise chehra-e-yusuf hasin tha
'naqwi' jo muskuraata raha dil ko toD ke
us ke har ek makr pe sad-afrin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.