apni jaanib se yun tanha na kiya jata use
apnī jānib se yuuñ tanhā na kiyā jaatā use
achchhā hotā jo koī Toktā samjhātā use
baa'z mauqoñ pe nahīñ koī bhī saanī us kā
baa'z mauqoñ pe zarā pyaar nahīñ aatā use
mujh ko hotā na agar us se bichhaḌne kā ḳhauf
ḳhud se auroñ ko bhī milte hue dikhlātā use
ek manzar mirī āñkhoñ kī chhuvan se mahrūm
sāmne hotā hai maiñ dekh nahīñ paatā use
apni jaanib se yun tanha na kiya jata use
achchha hota jo koi Tokta samjhata use
ba'z mauqon pe nahin koi bhi sani us ka
ba'z mauqon pe zara pyar nahin aata use
mujh ko hota na agar us se bichhaDne ka KHauf
KHud se auron ko bhi milte hue dikhlata use
ek manzar meri aankhon ki chhuwan se mahrum
samne hota hai main dekh nahin pata use
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 91)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.