apni miTTi se kahan log bigaDne wale
apnī miTTī se kahāñ log bigaḌne vaale
dil yahīñ chhoḌ ke jā.eñge ujaḌne vaale
dauḌte hañste guzar jaate haiñ lamhe un ke
kitne ḳhush-bāsh the rangoñ ko pakaḌne vaale
un ke ausāf meñ shāmil thā 'ajab ek tazād
pyaar bhī Tuut ke karte the akaḌne vaale
koī sūraj nahīñ chamkā kisī peshānī par
ḳhaak meñ mil ga.e kyā ḳhaak ragaḌne vaale
chāñd sūraj to chale aate haiñ vāpas bhī magar
lauT kar aate nahīñ ham se bichhaḌne vaale
ham to bas jang-e-muḳhālif haiñ zamāne meñ 'shamīm'
amn kī raah vo DhūñDeñ jo haiñ laḌne vaale
apni miTTi se kahan log bigaDne wale
dil yahin chhoD ke jaenge ujaDne wale
dauDte hanste guzar jate hain lamhe un ke
kitne KHush-bash the rangon ko pakaDne wale
un ke ausaf mein shamil tha 'ajab ek tazad
pyar bhi Tut ke karte the akaDne wale
koi suraj nahin chamka kisi peshani par
KHak mein mil gae kya KHak ragaDne wale
chand suraj to chale aate hain wapas bhi magar
lauT kar aate nahin hum se bichhaDne wale
hum to bas jang-e-muKHalif hain zamane mein 'shamim'
amn ki rah wo DhunDen jo hain laDne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.