apni palkon ko uThao to ghazal ho jae
apnī palkoñ ko uThāo to ġhazal ho jaa.e
ham se nazreñ jo milāo to ġhazal ho jaa.e
so.e ehsās jagāo to ġhazal ho jaa.e
aag paanī meñ lagāo to ġhazal ho jaa.e
mere ash'ār ko achchhā sā tarannum de kar
apne hoñToñ pe sajāo to ġhazal ho jaa.e
shab-e-tābāñ ko zarā aur nikhar jaane do
hausle aur baḌhāo to ġhazal ho jaa.e
apnī maḳhmūr nigāheñ na haTānā mujh se
mujh ko mad.hosh banāo to ġhazal ho jaa.e
harf se lafz buno lafz se ash'ār buno
yuuñ taḳhayyul ko sajāo to ġhazal ho jaa.e
tum ne 'maz.har' ko jalāyā hai ġham-e-furqat meñ
vasl kī sham'eñ jalāo to ġhazal ho jaa.e
apni palkon ko uThao to ghazal ho jae
hum se nazren jo milao to ghazal ho jae
soe ehsas jagao to ghazal ho jae
aag pani mein lagao to ghazal ho jae
mere ash'ar ko achchha sa tarannum de kar
apne honTon pe sajao to ghazal ho jae
shab-e-taban ko zara aur nikhar jaane do
hausle aur baDhao to ghazal ho jae
apni maKHmur nigahen na haTana mujh se
mujh ko madhosh banao to ghazal ho jae
harf se lafz buno lafz se ash'ar buno
yun taKHayyul ko sajao to ghazal ho jae
tum ne 'mazhar' ko jalaya hai gham-e-furqat mein
wasl ki sham'en jalao to ghazal ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.