Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni surat ko badalna hi nahin chahta main

Sarfaraz Khalid

apni surat ko badalna hi nahin chahta main

Sarfaraz Khalid

MORE BYSarfaraz Khalid

    apnī sūrat ko badalnā nahīñ chāhtā maiñ

    ab kisī sāñche meñ Dhalnā nahīñ chāhtā maiñ

    tum agar mujh se mohabbat nahīñ karte na sahī

    aisī bātoñ se bahalnā nahīñ chāhtā maiñ

    mire paañv meñ quvvat nahīñ hai itnī

    tirī raah pe chalnā nahīñ chāhtā maiñ

    suntā rahtā huuñ sadā.eñ tirī dastak magar

    apne kamre se nikalnā nahīñ chāhtā maiñ

    ye bhī sach hai ki sambhalnā hai zarūrī merā

    ye bhī sach hai ki sambhalnā nahīñ chāhtā maiñ

    apni surat ko badalna hi nahin chahta main

    ab kisi sanche mein Dhalna hi nahin chahta main

    tum agar mujh se mohabbat nahin karte na sahi

    aisi baaton se bahalna hi nahin chahta main

    ya mere panw mein quwwat hi nahin hai itni

    ya teri rah pe chalna hi nahin chahta main

    sunta rahta hun sadaen teri dastak ki magar

    apne kamre se nikalna hi nahin chahta main

    ye bhi sach hai ki sambhalna hai zaruri mera

    ye bhi sach hai ki sambhalna hi nahin chahta main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now