apni tanhai ko barbaad nahin karta main
apnī tanhā.ī ko barbād nahīñ kartā maiñ
kaun kahtā hai tujhe yaad nahīñ kartā maiñ
muskurāte hue chup-chāp bichhaḌ jaatā huuñ
rasm koī na.ī ījād nahīñ kartā maiñ
yaad tanhā.ī kasak sabr vafā sachchā.ī
in parindoñ ko to āzād nahīñ kartā maiñ
chāñd ko mujh se hamesha ye shikāyat hī rahī
hijr kā koī sabaq yaad nahīñ kartā maiñ
dil ko vīrān hī rahne meñ sukūñ miltā hai
is ko dānista bhī ābād nahīñ kartā maiñ
mere aañsū hī mire 'ishq kā sarmāya haiñ
jā shab-e-hijr ye imdād nahīñ kartā maiñ
mushta'il kar deñ musalmāñ ko musalmāñ ke ḳhilāf
us pe yakjā kabhī afrād nahīñ kartā maiñ
chhoḌ deñ saath jo manzil pe pahuñchne se qabl
aise logoñ ko to ham-zād nahīñ kartā maiñ
bhūkā rahnā mujhe manzūr hai lekin 'shahzād'
hākim-e-shahr se fariyād nahīñ kartā maiñ
apni tanhai ko barbaad nahin karta main
kaun kahta hai tujhe yaad nahin karta main
muskuraate hue chup-chap bichhaD jata hun
rasm koi nai ijad nahin karta main
yaad tanhai kasak sabr wafa sachchai
in parindon ko to aazad nahin karta main
chand ko mujh se hamesha ye shikayat hi rahi
hijr ka koi sabaq yaad nahin karta main
dil ko viran hi rahne mein sukun milta hai
is ko danista bhi aabaad nahin karta main
mere aansu hi mere 'ishq ka sarmaya hain
ja shab-e-hijr ye imdad nahin karta main
mushta'il kar den musalman ko musalman ke KHilaf
us pe yakja kabhi afrad nahin karta main
chhoD den sath jo manzil pe pahunchne se qabl
aise logon ko to ham-zad nahin karta main
bhuka rahna mujhe manzur hai lekin 'shahzad'
hakim-e-shahr se fariyaad nahin karta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.