apnon ki zaban aur hai ghairon ki zaban aur
apnoñ kī zabāñ aur hai ġhairoñ kī zabāñ aur
phūloñ ke nishāñ aur haiñ kāñToñ ke nishāñ aur
har samt vahī barq vahī aag ke sho'le
ābād kahāñ jā ke kareñ dil kā jahāñ aur
ab aur na ġham do ki nikal ā.eñge aañsū
bhaḌkegī agar aag to uTThegā dhuāñ aur
niklo to sahī ghar se koī le ke irāda
kaam aa.egā phir aap ke ye 'azm-e-javāñ aur
tum duur chale jāoge jab chhoḌ ke tanhā
rah rah ke satā.egā mujhe dard-e-nihāñ aur
sadmāt ke is bojh se maiñ Tuut gayā huuñ
uThne kā nahīñ mujh se ye ab bār-e-garāñ aur
kyā sach hai 'kañval' jhuuT hai kyā kaun batā.e
zaḳhmoñ ke bayāñ aur haiñ qātil kā bayāñ aur
apnon ki zaban aur hai ghairon ki zaban aur
phulon ke nishan aur hain kanTon ke nishan aur
har samt wahi barq wahi aag ke sho'le
aabaad kahan ja ke karen dil ka jahan aur
ab aur na gham do ki nikal aaenge aansu
bhaDkegi agar aag to uTThega dhuan aur
niklo to sahi ghar se koi le ke irada
kaam aaega phir aap ke ye 'azm-e-jawan aur
tum dur chale jaoge jab chhoD ke tanha
rah rah ke sataega mujhe dard-e-nihan aur
sadmat ke is bojh se main Tut gaya hun
uThne ka nahin mujh se ye ab bar-e-garan aur
kya sach hai 'kanwal' jhuT hai kya kaun batae
zaKHmon ke bayan aur hain qatil ka bayan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.