aql ke andhon ne aashiq bhi na pahchane do
'aql ke andhoñ ne 'āshiq bhī na pahchāne do
zātoñ kī aag meñ jab jal ga.e dīvāne do
chhoTī sī baat pe laḌ paḌte haiñ Dar lagtā hai
ye dukhī log to mā'sūm haiñ samjhāne do
kuchh bhī ab yaad nahīñ 'ālam-e-mad.hoshī kā
us kī zulfoñ pe magar likh diye afsāne do
ek manzil hai magar baat nahīñ hotī hai
saath chalte haiñ magar phir bhī haiñ begāne do
paak nāpāk kī pābandī vo bhī 'āshiq par
Duub ke piite haiñ jo un ko na paimāne do
qādiyānī kaho sunnī kaho shī'a kaho tum
mulk sab kā hai to ārām se bas jaane do
'aql ke andhon ne 'ashiq bhi na pahchane do
zaton ki aag mein jab jal gae diwane do
chhoTi si baat pe laD paDte hain Dar lagta hai
ye dukhi log to ma'sum hain samjhane do
kuchh bhi ab yaad nahin 'alam-e-madhoshi ka
us ki zulfon pe magar likh diye afsane do
ek manzil hai magar baat nahin hoti hai
sath chalte hain magar phir bhi hain begane do
pak napak ki pabandi wo bhi 'ashiq par
Dub ke pite hain jo un ko na paimane do
qadiyani kaho sunni kaho shi'a kaho tum
mulk sab ka hai to aaram se bas jaane do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.