Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashaar ki taKHliq mein jalta hai jigar kyun

Mahendra Partap Chand

ashaar ki taKHliq mein jalta hai jigar kyun

Mahendra Partap Chand

MORE BYMahendra Partap Chand

    ash.ār taḳhlīq meñ jaltā hai jigar kyuuñ

    yārab mujhe baḳhshā hai ye jāñ-soz hunar kyuuñ

    ġham ishq sauġhāt hai siine se lagā le

    phūloñ tamannā hai to kāñToñ se hazar kyuuñ

    kuchh had se sivā haiñ mire ġham-ḳhvār vagarna

    rahtī hai mire haal pe yāroñ nazar kyuuñ

    kal jis ko sar āñkhoñ par biThātā thā zamāna

    baiThā hai sar-e-rāh vo ab ḳhāk-basar kyuuñ

    aariz ke gulāboñ pe udāsī ye shabnam

    namnāk haiñ āñkheñ tirī aaj ai gul-e-tar kyuuñ

    phir kaun gayā pichhle pahar bazm se uTh kar

    phir sog aalam hai ye hañgām-e-sahar kyuuñ

    patthar ke sivā 'chāñd' yahāñ kuchh na milegā

    baiThā hai sajā.e hue shīshoñ ghar kyuuñ

    ashaar ki taKHliq mein jalta hai jigar kyun

    yarab mujhe baKHsha hai ye jaan-soz hunar kyun

    gham ishq ki saughat hai sine se laga le

    phulon ki tamanna hai to kanTon se hazar kyun

    kuchh had se siwa hain mere gham-KHwar wagarna

    rahti hai mere haal pe yaron ki nazar kyun

    kal jis ko sar aankhon par biThata tha zamana

    baiTha hai sar-e-rah wo ab KHak-basar kyun

    aariz ke gulabon pe udasi ki ye shabnam

    namnak hain aankhen teri aaj ai gul-e-tar kyun

    phir kaun gaya pichhle pahar bazm se uTh kar

    phir sog ka aalam hai ye hangam-e-sahar kyun

    patthar ke siwa 'chand' yahan kuchh na milega

    baiTha hai sajae hue shishon ka tu ghar kyun

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 781)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now