Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ashk par zor kuchh chala hi nahin

Dr. Azam

ashk par zor kuchh chala hi nahin

Dr. Azam

MORE BYDr. Azam

    ashk par zor kuchh chalā nahīñ

    maiñ ne rokā bahut rukā nahīñ

    ātish zer-e-pā sabab varna

    ḳhaak sahrā chhāntā nahīñ

    to sab ḳhudā sachchā hai

    to sachchā koī ḳhudā nahīñ

    zehn kahtā hai sar jhukā le

    dil magar hai ki māntā nahīñ

    bāl-o-par hoñ qavī to kyā hāsil

    jab uḌānoñ hausla nahīñ

    haa.e maiñ ne pas-e-ġhalat-fahmī

    vo sunā maiñ ne jo kahā nahīñ

    maut Dar ise dikhā.eñ kyā

    zinda rahnā jo chāhtā nahīñ

    sirf ehsās-e-kamtarī hai tujhe

    aur hai ki māntā nahīñ

    maiñ maiñ bazm meñ rahā maujūd

    aur maiñ bazm meñ gayā nahīñ

    merī ġhībat meñ vo bhī haiñ shāmil

    aaj tak jin se maiñ milā nahīñ

    jo ki pahchān ho mirī 'āzam'

    sher aisā koī huā nahīñ

    ashk par zor kuchh chala hi nahin

    main ne roka bahut ruka hi nahin

    aatish zer-e-pa sabab warna

    KHak sahra ki chhanta hi nahin

    ya to sab ka KHuda hi sachcha hai

    ya to sachcha koi KHuda hi nahin

    zehn kahta hai sar jhuka le tu

    dil magar hai ki manta hi nahin

    baal-o-par hon qawi to kya hasil

    jab uDanon ka hausla hi nahin

    hae main ne pas-e-ghalat-fahmi

    wo suna main ne jo kaha hi nahin

    maut ka Dar ise dikhaen kya

    zinda rahna jo chahta hi nahin

    sirf ehsas-e-kamtari hai tujhe

    aur tu hai ki manta hi nahin

    main hi main bazm mein raha maujud

    aur main bazm mein gaya hi nahin

    meri ghibat mein wo bhi hain shamil

    aaj tak jin se main mila hi nahin

    jo ki pahchan ho meri 'azam'

    sher aisa koi hua hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now