asir-e-dam-e-harifan hain aap bhi hum bhi
asīr-e-dām-e-harīfāñ haiñ aap bhī ham bhī
haqīqatoñ se gurezāñ haiñ aap bhī ham bhī
fasād-e-mausam-e-barq-o-sharar guzar jaa.e
to mīr-e-sub.h-e-daraḳhshāñ haiñ aap bhī ham bhī
mizāj-e-ġhuncha-o-gul ham agar samajh jaa.eñ
to phir ḳhudā-e-gulistāñ haiñ aap bhī ham bhī
ab aur apne dukhoñ meñ na ham izāfa kareñ
ki dukh se dast-o-garebāñ haiñ aap bhī ham bhī
chalo ki sozan-e-mizhgāñ se chāk-e-dil sī leñ
gadā-e-be-sar-o-sāmāñ haiñ aap bhī ham bhī
chalo ridā-e-mohabbat se jism-o-jāñ Dhāñpeñ
hujūm-e-dahr meñ 'uryāñ haiñ aap bhī ham bhī
chalo ki ham na.e sāñche meñ zindagī Dhāleñ
'adāvatoñ se pareshāñ haiñ aap bhī ham bhī
chalo ki donoñ chaman ḳhushbuoñ se mahkā deñ
nasīm-e-amn ke ḳhvāhāñ haiñ aap bhī ham bhī
asir-e-dam-e-harifan hain aap bhi hum bhi
haqiqaton se gurezan hain aap bhi hum bhi
fasad-e-mausam-e-barq-o-sharar guzar jae
to mir-e-subh-e-daraKHshan hain aap bhi hum bhi
mizaj-e-ghuncha-o-gul hum agar samajh jaen
to phir KHuda-e-gulistan hain aap bhi hum bhi
ab aur apne dukhon mein na hum izafa karen
ki dukh se dast-o-gareban hain aap bhi hum bhi
chalo ki sozan-e-mizhgan se chaak-e-dil si len
gada-e-be-sar-o-saman hain aap bhi hum bhi
chalo rida-e-mohabbat se jism-o-jaan Dhanpen
hujum-e-dahr mein 'uryan hain aap bhi hum bhi
chalo ki hum nae sanche mein zindagi Dhaalen
'adawaton se pareshan hain aap bhi hum bhi
chalo ki donon chaman KHushbuon se mahka den
nasim-e-amn ke KHwahan hain aap bhi hum bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.