aur to kuchh nahin mere dil ki hai ek aarzu guftugu
aur to kuchh nahīñ mere dil kī hai ik aarzū guftugū
chāhtā hai kisī roz ho aap se rū-barū guftugū
baat kis kī sunūñ ġhaur se maiñ yahāñ kis se bāteñ karūñ
har taraf se sadā.eñ lapaktī huiiñ chār-sū guftugū
jang kī muḳhtalif sāzishoñ meñ pas-e-pusht masrūf hai
sāmne baiTh kar amn kī kar rahā hai 'adū guftugū
vo kabhī is tarah baat kartā hai goyā shanāsā nahīñ
aur yuuñ bhī kabhī jaise karte haiñ do ham-subū guftugū
kaash aisā ho merī taraf aur koī tavajjoh na de
is bharī bazm meñ mujh se kartā rahe ek tū guftugū
merā terā ta'alluq hai kyā ye kisī ko nahīñ hai ḳhabar
mere tere ta'alluq pe phir bhī huī kū-ba-kū guftugū
us ne 'āsim' har ik faisla kar liyā mujh se pūchhe binā
aur har faisle pe ye maiñ ne kahā guftugū guftugū
aur to kuchh nahin mere dil ki hai ek aarzu guftugu
chahta hai kisi roz ho aap se ru-baru guftugu
baat kis ki sunun ghaur se main yahan kis se baaten karun
har taraf se sadaen lapakti huin chaar-su guftugu
jang ki muKHtalif sazishon mein pas-e-pusht masruf hai
samne baiTh kar amn ki kar raha hai 'adu guftugu
wo kabhi is tarah baat karta hai goya shanasa nahin
aur yun bhi kabhi jaise karte hain do ham-subu guftugu
kash aisa ho meri taraf aur koi tawajjoh na de
is bhari bazm mein mujh se karta rahe ek tu guftugu
mera tera ta'alluq hai kya ye kisi ko nahin hai KHabar
mere tere ta'alluq pe phir bhi hui ku-ba-ku guftugu
us ne 'asim' har ek faisla kar liya mujh se puchhe bina
aur har faisle pe ye main ne kaha guftugu guftugu
- Book : Lafz Mehfooz Kar Liye Jaayen (Pg. 71)
- Author :Asim Wasti
- Publication : Rekhta Publications (2020)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.