awwal milunga hi nahin aur gar milunga main
avval milūñgā hī nahīñ aur gar milūñgā maiñ
milnā hisār-e-vaqt ke bāhar milūñgā maiñ
kitnī 'ajīb baat hai ab mujh ko yaar se
milne kī aarzū nahīñ hai par milūñgā maiñ
apnī anā pe kaam kiye jā rahā huuñ so
achchhā nahīñ milā bhī to behtar milūñgā maiñ
sochā thā us kī or to dekhūñgā bhī nahīñ
mujh ko ḳhabar kahāñ thī uchhal kar milūñgā maiñ
ik roz tujh pe raaz khulegā visāl kā
milne se qabl bhī tujhe aksar milūñgā maiñ
awwal milunga hi nahin aur gar milunga main
milna hisar-e-waqt ke bahar milunga main
kitni 'ajib baat hai ab mujh ko yar se
milne ki aarzu nahin hai par milunga main
apni ana pe kaam kiye ja raha hun so
achchha nahin mila bhi to behtar milunga main
socha tha us ki or to dekhunga bhi nahin
mujh ko KHabar kahan thi uchhal kar milunga main
ek roz tujh pe raaz khulega visal ka
milne se qabl bhi tujhe aksar milunga main
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 69)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.