awwal to lo ye jaan ki tanhai bahut hai
avval to lo ye jaan ki tanhā.ī bahut hai
dil rakkho phir aisā jo tamannā.ī bahut hai
ham us se kisī tarh nahīñ kam hai sitam ye
aur is pe sitam hai ki vo harjā.ī bahut hai
dariyā ke kināre pe kisī roz khulā bhed
vo zaat hai apnī ki jo sahrā.ī bahut hai
jiine ke liye kaafī hai thoḌī sī jihālat
marne ke liye thoḌī sī dānā.ī bahut hai
ham-sar jo hamārā ho use sāmne laao
'tarkash' bhī hai saudā.ī pa saudā.ī bahut hai
awwal to lo ye jaan ki tanhai bahut hai
dil rakkho phir aisa jo tamannai bahut hai
hum us se kisi tarh nahin kam hai sitam ye
aur is pe sitam hai ki wo harjai bahut hai
dariya ke kinare pe kisi roz khula bhed
wo zat hai apni ki jo sahrai bahut hai
jine ke liye kafi hai thoDi si jihaalat
marne ke liye thoDi si danai bahut hai
ham-sar jo hamara ho use samne lao
'tarkash' bhi hai saudai pa saudai bahut hai
- Book : Udaas Logon Ka Hona Bahut Zaruri Hai (Pg. 77)
- Author : Tarkash Pradeep
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.