azm-e-jawan se kaam liya hai kabhi-kabhi
'azm-e-javāñ se kaam liyā hai kabhī-kabhī
sūraj kā baḌh ke jaam liyā hai kabhī-kabhī
pāband kar ke dil kā junūñ kī nigāh ko
taḳh.īl hī se kaam liyā hai kabhī-kabhī
muñh pher kar jahān ke har ik nashāt se
chupke se ġham kā naam liyā hai kabhī-kabhī
ashk-e-vafā ko kar ke sitāroñ kā aa.ina
kuchh raushnī kā kaam liyā hai kabhī-kabhī
ham ne zabāñ se naam tumhārā nahīñ liyā
majbūr dil ne naam liyā hai kabhī-kabhī
tar kar ke āñsuoñ se tabassum ke ḳhushk phuul
ḳhushiyoñ se intiqām liyā hai kabhī-kabhī
'azm-e-jawan se kaam liya hai kabhi-kabhi
suraj ka baDh ke jam liya hai kabhi-kabhi
paband kar ke dil ka junun ki nigah ko
taKHil hi se kaam liya hai kabhi-kabhi
munh pher kar jahan ke har ek nashat se
chupke se gham ka nam liya hai kabhi-kabhi
ashk-e-wafa ko kar ke sitaron ka aaina
kuchh raushni ka kaam liya hai kabhi-kabhi
hum ne zaban se nam tumhaara nahin liya
majbur dil ne nam liya hai kabhi-kabhi
tar kar ke aansuon se tabassum ke KHushk phul
KHushiyon se intiqam liya hai kabhi-kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.