Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-faiz-e-agahi hai muddaa sanjida sanjida

Syed Jameel Madni

ba-faiz-e-agahi hai muddaa sanjida sanjida

Syed Jameel Madni

MORE BYSyed Jameel Madni

    ba-faiz-e-āgahī hai mudda'ā sanjīda sanjīda

    ḳhudī ne kiye haiñ raaz kyā pechīda pechīda

    nazar hairāñ tabī'at hai zarā ranjīda ranjīda

    huā dil hai kisī mubtalā poshīda poshīda

    fazāoñ se fasāna sun ke us ke dard-e-hijrāñ

    guloñ ne chun liye ashk-e-sabā larzīda larzīda

    isī mast-e-javānī ke qadam baḌh kar liye hoñge

    chaman meñ chal rahī hai jo sabā laġhzīda laġhzīda

    Thahar jaa.e na ghabrā kar kahīñ ye qāfila dil

    mirī jānib nazar phir se uThā duzdīda duzdīda

    'jamīl'-e-zār hai ye nishāñ ai gulsitāñ vaalo

    javāñ himmat pareshāñ-hāl kāhīda kāhīda

    ba-faiz-e-agahi hai mudda'a sanjida sanjida

    KHudi ne wa kiye hain raaz kya pechida pechida

    nazar hairan tabi'at hai zara ranjida ranjida

    hua dil hai kisi ka mubtala poshida poshida

    fazaon se fasana sun ke us ke dard-e-hijran ka

    gulon ne chun liye ashk-e-saba larzida larzida

    isi mast-e-jawani ke qadam baDh kar liye honge

    chaman mein chal rahi hai jo saba laghzida laghzida

    Thahar jae na ghabra kar kahin ye qafila dil ka

    meri jaanib nazar phir se uTha duzdida duzdida

    'jamil'-e-zar ka hai ye nishan ai gulsitan walo

    jawan himmat pareshan-haal sa kahida kahida

    Source:

    Shora-e-London (Pg. 62)

    • Author: Jauhar Zahiri
      • Edition: 1985
      • Publisher: Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now