baad-e-bahaaran le aai hai bhule hue afsanon ko
bād-e-bahārāñ le aa.ī hai bhūle hue afsānoñ ko
jaane kyā samjhā thā zamāne ne apne dīvānoñ ko
kaise kaise log the jin se bastī bastī gulshan thī
gulshan gulshan vīrāne haiñ dekh liyā insānoñ ko
bijliyoñ ko bhī taab na thī jin kī vo nasheman ḳhud phūñke
par māreñ na parinde jahāñ luuTā aise kāshānoñ ko
shaiḳh-o-barahman dast-o-garebāñ dair-o-haram paivand-e-zamīn
āḳhir ajnabī hāthoñ ne uljhā hī diyā nā-dānoñ ko
shāyad ab tā'mīr kī lazzat pā na sakeñge jiite jī
jaise chāheñ bahlā.eñ barbādī ke armānoñ ko
chhoḌo bhī tadbīr ke qisse koī ḳhirad kī baat karo
vahshī hī ābād kareñge duniyā ke vīrānoñ ko
sadiyoñ purāne rang meñ tū ne apne vaqt kā haal kahā
kab tak ye andāz 'nazar' ḳhush aa.egā farzānoñ ko
baad-e-bahaaran le aai hai bhule hue afsanon ko
jaane kya samjha tha zamane ne apne diwanon ko
kaise kaise log the jin se basti basti gulshan thi
gulshan gulshan virane hain dekh liya insanon ko
bijliyon ko bhi tab na thi jin ki wo nasheman KHud phunke
par maren na parinde jahan luTa aise kashanon ko
shaiKH-o-barahman dast-o-gareban dair-o-haram paiwand-e-zamin
aaKHir ajnabi hathon ne uljha hi diya na-danon ko
shayad ab ta'mir ki lazzat pa na sakenge jite ji
jaise chahen bahlaen barbaadi ke armanon ko
chhoDo bhi tadbir ke qisse koi KHirad ki baat karo
wahshi hi aabaad karenge duniya ke viranon ko
sadiyon purane rang mein tu ne apne waqt ka haal kaha
kab tak ye andaz 'nazar' KHush aaega farzanon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.