Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baad muddat ke teri yaad ke baadal barse

Javed Naseemi

baad muddat ke teri yaad ke baadal barse

Javed Naseemi

MORE BYJaved Naseemi

    ba.ad muddat ke tirī yaad ke bādal barse

    vo bhī aise ki ka.ī roz musalsal barse

    muntazir aur bhī sahrā haiñ isī bādal ke

    sirf tujh par bhalā kaise ye har pal barse

    pyaas is shahr bujhne yahī rasta hai

    ban ke bādal kisī darvesh chhāgal barse

    lag ga.ī kis nazar shahr-e-nigārāñ ko mire

    ab to har shaam yahāñ vahshat-e-maqtal barse

    kab pyāsī hai zamīñ ye bhī nazar meñ rakkhe

    kah do bādal se zarā der musalsal barse

    lab-kushā ho ki mahak uTThe fazā ye sukūt

    muntazir kab se samā.at hai ki sandal barse

    baad muddat ke teri yaad ke baadal barse

    wo bhi aise ki kai roz musalsal barse

    muntazir aur bhi sahra hain isi baadal ke

    sirf tujh par hi bhala kaise ye har pal barse

    pyas is shahr ki bujhne ka yahi rasta hai

    ban ke baadal kisi darwesh ki chhagal barse

    lag gai kis ki nazar shahr-e-nigaran ko mere

    ab to har sham yahan wahshat-e-maqtal barse

    kab ki pyasi hai zamin ye bhi nazar mein rakkhe

    kah do baadal se zara der musalsal barse

    lab-kusha ho ki mahak uTThe faza ka ye sukut

    muntazir kab se samaat hai ki sandal barse

    Source:

    Khwab Aasmano ke (Pg. 69)

    • Author: Javed Nasimi
      • Edition: 2014
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now