Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baada-e-wahshat-asar se mast virane mein tha

Piyare Lal Raunaq Dehlwi

baada-e-wahshat-asar se mast virane mein tha

Piyare Lal Raunaq Dehlwi

MORE BYPiyare Lal Raunaq Dehlwi

    bāda-e-vahshat-asar se mast vīrāne meñ thā

    ek aalam be-ḳhudī tere dīvāne meñ thā

    jalva farmātā vo ka.abe meñ na but-ḳhāne meñ thā

    DhūñDhtā thā jis ko maiñ vo dil ke kāshāne meñ thā

    hasrateñ thiiñ raqs meñ sāz-e-tarab thī āh-e-dil

    aish duniyā-bhar mere ek ġham-ḳhāne meñ thā

    pūchhtā kyā hai haqīqat us mujh se mohtasib

    kyā batā.ūñ maiñ tujhe kyā mere paimāne meñ thā

    josh-e-vahshat meñ thī us justujū donoñ taraf

    ik qadam merā thā ghar meñ ek vīrāne meñ thā

    har ghaḌī thī jis ke jalve nigāhoñ ko talāsh

    nuur us aañkh meñ vo dil ke kāshāne meñ thā

    surḳh Dore aa ga.e piite saaqī aañkh meñ

    ye mai-e-gul-rañg thī ḳhuun paimāne meñ thā

    sakā ai sham.a dam-bhar bhī na tāb-e-soz-e-ishq

    ḳhaak hone ke sivā kyā ḳhaak parvāne meñ thā

    aur kyā ka.abe meñ miltā sañg-e-asvad ke sivā

    DhūñDhtā thā jis ko zāhid vo but-ḳhāne meñ thā

    naġhma-e-haq sadā har-dam kiye detī thī mast

    kis maze ik tarannum dil ke paimāne meñ thā

    merī rāhat zarīya thiiñ mirī āzādiyāñ

    vo qadam thā aish-ḳhāne meñ jo vīrāne meñ thā

    kauñd kar girtī thiiñ dil par har taraf se bijliyāñ

    ik nayā andāz un ke teġh chamkāne meñ thā

    chashm-e-haq-bīñ ke liye haiñ ek dair-o-haram

    saaf ka.abe meñ nazar aayā jo but-ḳhāne meñ thā

    ab vo rañg-e-bāda-e-ulfat ilāhī kyā huā

    joshish-e-hubb-e-vatan jo dil ke paimāne meñ thā

    kyā kahūñ kis shai ne 'raunaq' kar diyā mast-e-alast

    thā vo ik rañg-e-mai-e-irfāñ jo paimāne meñ thā

    baada-e-wahshat-asar se mast virane mein tha

    ek aalam be-KHudi ka tere diwane mein tha

    jalwa farmata wo kabe mein na but-KHane mein tha

    DhunDhta tha jis ko main wo dil ke kashane mein tha

    hasraten thin raqs mein saz-e-tarab thi aah-e-dil

    aish duniya-bhar ka mere ek gham-KHane mein tha

    puchhta kya hai haqiqat us ki mujh se mohtasib

    kya bataun main tujhe kya mere paimane mein tha

    josh-e-wahshat mein thi us ki justuju donon taraf

    ek qadam mera tha ghar mein ek virane mein tha

    har ghaDi thi jis ke jalwe ki nigahon ko talash

    nur us ka aankh mein wo dil ke kashane mein tha

    surKH Dore aa gae pite hi saqi aankh mein

    ye mai-e-gul-rang thi ya KHun paimane mein tha

    la saka ai shama dam-bhar bhi na tab-e-soz-e-ishq

    KHak hone ke siwa kya KHak parwane mein tha

    aur kya kabe mein milta sang-e-aswad ke siwa

    DhunDhta tha jis ko tu zahid wo but-KHane mein tha

    naghma-e-haq ki sada har-dam kiye deti thi mast

    kis maze ka ek tarannum dil ke paimane mein tha

    meri rahat ka zariya thin meri aazadiyan

    wo qadam tha aish-KHane mein jo virane mein tha

    kaund kar girti thin dil par har taraf se bijliyan

    ek naya andaz un ke tegh chamkane mein tha

    chashm-e-haq-bin ke liye hain ek hi dair-o-haram

    saf kabe mein nazar aaya jo but-KHane mein tha

    ab wo rang-e-baada-e-ulfat ilahi kya hua

    joshish-e-hubb-e-watan jo dil ke paimane mein tha

    kya kahun kis shai ne 'raunaq' kar diya mast-e-alast

    tha wo ek rang-e-mai-e-irfan jo paimane mein tha

    Source:

    kalam-e-raunaq (Pg. E-124 B-120)

      • Publisher: Kaaesth Urdu Sabha, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now