aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baada-masti aa karamat ho ke maiKHane mein aa

Natiq Gulavthi

baada-masti aa karamat ho ke maiKHane mein aa

Natiq Gulavthi

MORE BYNatiq Gulavthi

    bāda-mastī aa karāmat ho ke maiḳhāne meñ aa

    chal parī shīshe se uḌ kar mere paimāne meñ aa

    dūsrā aisā kahāñ ai dasht ḳhalvat maqām

    apnī vīrānī ko le kar mere vīrāne meñ aa

    vahshat-e-dil nahīñ tadbīr juz afsurdagī

    tañgī-e-zindāñ kisī pahlū se dīvāne meñ aa

    kar murattab kuchh na.e andāz se apnā bayāñ

    marne vaale zindagī chāhe to afsāne meñ aa

    chal nikal jaa.eñ idhar se apnī duniyā taraf

    haañ ai tār-e-nafas tasbīh ke daane meñ aa

    pel zor aape se bāhar ho ke jā.egā kahāñ

    aadmī ban aadmī aa apne paimāne meñ aa

    dāman-e-fānūs meñ ai sham.a ḳhud-dārī nahīñ

    kisvat-e-nāmūs agar chāhe to parvāne meñ aa

    ḳhatm karnā chāhtā huuñ pech-o-tāb-e-zindagī

    yād-e-gesū zor-e-bāzū ban mire shāne meñ aa

    ho chalī hai rasm-e-ahl-e-ka.aba 'nātiq' ab to aam

    barhaman bhī mujh se kahtā hai ki but-ḳhāne meñ aa

    baada-masti aa karamat ho ke maiKHane mein aa

    chal pari shishe se uD kar mere paimane mein aa

    dusra aisa kahan ai dasht KHalwat ka maqam

    apni virani ko le kar mere virane mein aa

    wahshat-e-dil ki nahin tadbir juz afsurdagi

    tangi-e-zindan kisi pahlu se diwane mein aa

    kar murattab kuchh nae andaz se apna bayan

    marne wale zindagi chahe to afsane mein aa

    chal nikal jaen idhar se apni duniya ki taraf

    han tu ai tar-e-nafas tasbih ke dane mein aa

    pel zor aape se bahar ho ke jaega kahan

    aadmi ban aadmi aa apne paimane mein aa

    daman-e-fanus mein ai shama KHud-dari nahin

    kiswat-e-namus agar chahe to parwane mein aa

    KHatm karna chahta hun pech-o-tab-e-zindagi

    yaad-e-gesu zor-e-bazu ban mere shane mein aa

    ho chali hai rasm-e-ahl-e-kaba 'natiq' ab to aam

    barhaman bhi mujh se kahta hai ki but-KHane mein aa

    Source:

    Deewan-e-Natiq (Pg. ebook-49 page-37)

    • Author: Natiq Gulavthi
      • Edition: 1976
      • Publisher: Mohammad Abdul Halim
      • Year of Publication: 1976
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now