Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah

Shakeel Shamsi

baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah

Shakeel Shamsi

MORE BYShakeel Shamsi

    bādshāhoñ tarah aur na vazīroñ tarah

    ham to darvesh the aa.e yahāñ pīroñ tarah

    rāj-mahloñ meñ kahāñ DhūñDh rahe ho ham ko

    ham to ajmer meñ rahte haiñ faqīroñ tarah

    ham bhī is mulk taqdīr ik hissa haiñ

    ham na miT pā.eñge hāthoñ lakīroñ tarah

    jāñ-fishānī se bahut ham ne jaḌe haiñ aañsū

    māthar-e-hind tire taaj meñ hīroñ tarah

    dushmanoñ ko to yahī baat bahut khaltī hai

    ham to ġhurbat meñ bhī zinda haiñ amīroñ tarah

    baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah

    hum to darwesh the aae yahan piron ki tarah

    raj-mahlon mein kahan DhunDh rahe ho hum ko

    hum to ajmer mein rahte hain faqiron ki tarah

    hum bhi is mulk ki taqdir ka ek hissa hain

    hum na miT paenge hathon ki lakiron ki tarah

    jaan-fishani se bahut hum ne jaDe hain aansu

    mathar-e-hind tere taj mein hiron ki tarah

    dushmanon ko to yahi baat bahut khalti hai

    hum to ghurbat mein bhi zinda hain amiron ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now