bagh-e-jannat pe na aflak pe rakkha hua hai
bāġh-e-jannat pe na aflāk pe rakkhā huā hai
dhyān us ke badan-e-pāk pe rakkhā huā hai
baḌh ke ḳhushbū se hai jab lutf meñ vo nūr-e-qadīm
bojh sā kyoñ mire idrāk pe rakkhā huā hai
sirf kahne ko mukammal hai ye 'ālam varna
aaj bhī saarā jahāñ chaak pe rakkhā huā hai
'ishq mabnī-ba-havas kī miyāñ auqāt hī kyā
ek sho'la hai jo ḳhāshāk pe rakkhā huā hai
jo pujārī haiñ badan ke tire un logoñ kā
zor saarā tirī poshāk pe rakkhā huā hai
ham haiñ jis ḳhaak se jis ḳhaak meñ milnā hai hameñ
takiya ham ne bas usī ḳhaak pe rakkhā huā hai
ye jahāñ yuuñ hī munavvar to nahīñ hai 'najmī'
ik diyā gumbad-e-aflāk pe rakkhā huā hai
bagh-e-jannat pe na aflak pe rakkha hua hai
dhyan us ke badan-e-pak pe rakkha hua hai
baDh ke KHushbu se hai jab lutf mein wo nur-e-qadim
bojh sa kyon mere idrak pe rakkha hua hai
sirf kahne ko mukammal hai ye 'alam warna
aaj bhi sara jahan chaak pe rakkha hua hai
'ishq mabni-ba-hawas ki miyan auqat hi kya
ek sho'la hai jo KHashak pe rakkha hua hai
jo pujari hain badan ke tere un logon ka
zor sara teri poshak pe rakkha hua hai
hum hain jis KHak se jis KHak mein milna hai hamein
takiya hum ne bas usi KHak pe rakkha hua hai
ye jahan yun hi munawwar to nahin hai 'najmi'
ek diya gumbad-e-aflak pe rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.