bagh mein subh-o-sham aana jaana raha lala-o-gul se milna milana raha

bagh mein subh-o-sham aana jaana raha lala-o-gul se milna milana raha
Kaleem Aajiz
MORE BYKaleem Aajiz
baaġh meñ sub.h-o-shām aanā jaanā rahā lāla-o-gul se milnā milānā rahā
jis zamāne kī ye baat hai dosto ab vo mausam na ab vo zamāna rahā
ham ġhazal gaa.eñ tū raqs kar sāqiyā ki salāmat tirā bāda-ḳhāna rahā
mai to jām-o-surāhī meñ bharpūr hai ḳhuuñ hamārī ragoñ meñ rahā na rahā
kaun ai 'ishq terā pujārī bane bazm meñ koī ahl-e-vafā na rahā
ek goshe meñ ham rah ga.e haiñ yahāñ so hamārā bhī ab kyā Thikāna rahā
ye to sach hai ki sarmāya-e-ābrū aaj chand āñsuoñ ke sivā na rahā
tanz se jin pe tum hañs rahe ho gulo kal inhīñ jeb-o-dāman meñ kyā na rahā
yuuñ to kahne ko ham chāk-dāmāñ bhī haiñ zulf-e-barham kī sūrat pareshāñ bhī haiñ
jab se sar phoḌ lene kī 'ādat ga.ī tab se dīvāngī meñ mazā na rahā
'aql bechārī larza-bar-andām hai himmat-e-‘ishq chal ab tirā kaam hai
manzil-e-dār par log yuuñ ruk ga.e jaise aage koī rāsta na rahā
garche 'ājiz' haiñ ham aur nādār haiñ mahfil-e-shād ke rind-e-ḳhud.dār haiñ
ye ḳhudā-sāz chullū salāmat rahe jaam kī kyā shikāyat rahā na rahā
bagh mein subh-o-sham aana jaana raha lala-o-gul se milna milana raha
jis zamane ki ye baat hai dosto ab wo mausam na ab wo zamana raha
hum ghazal gaen tu raqs kar saqiya ki salamat tera baada-KHana raha
mai to jam-o-surahi mein bharpur hai KHun hamari ragon mein raha na raha
kaun ai 'ishq tera pujari bane bazm mein koi ahl-e-wafa na raha
ek goshe mein hum rah gae hain yahan so hamara bhi ab kya Thikana raha
ye to sach hai ki sarmaya-e-abru aaj chand aansuon ke siwa na raha
tanz se jin pe tum hans rahe ho gulo kal inhin jeb-o-daman mein kya na raha
yun to kahne ko hum chaak-daman bhi hain zulf-e-barham ki surat pareshan bhi hain
jab se sar phoD lene ki 'adat gai tab se diwangi mein maza na raha
'aql bechaari larza-bar-andam hai himmat-e-‘ishq chal ab tera kaam hai
manzil-e-dar par log yun ruk gae jaise aage koi rasta na raha
garche 'ajiz' hain hum aur nadar hain mahfil-e-shad ke rind-e-KHuddar hain
ye KHuda-saz chullu salamat rahe jam ki kya shikayat raha na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.