Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge

Jaun Eliya

bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    bāhar guzār kabhī andar bhī ā.eñge

    ham se ye pūchhnā kabhī ham ghar bhī ā.eñge

    ḳhud āhanī nahīñ ho to poshish ho āhanī

    yuuñ shīsha rahoge to patthar bhī ā.eñge

    ye dasht-e-be-taraf hai gumānoñ mauj-ḳhez

    is meñ sarāb kyā ki samundar bhī ā.eñge

    āshuftagī fasl āġhāz hai abhī

    āshuftagāñ palaT ke abhī ghar bhī ā.eñge

    dekheñ to chal ke yaar tilismāt-e-samt-e-dil

    marnā bhī paḌ gayā to chalo mar bhī ā.eñge

    ye shaḳhs aaj kuchh nahīñ par kal ye dekhiyo

    us taraf qadam nahīñ sar bhī ā.eñge

    bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge

    hum se ye puchhna kabhi hum ghar bhi aaenge

    KHud aahani nahin ho to poshish ho aahani

    yun shisha hi rahoge to patthar bhi aaenge

    ye dasht-e-be-taraf hai gumanon ka mauj-KHez

    is mein sarab kya ki samundar bhi aaenge

    aashuftagi ki fasl ka aaghaz hai abhi

    aashuftagan palaT ke abhi ghar bhi aaenge

    dekhen to chal ke yar tilismat-e-samt-e-dil

    marna bhi paD gaya to chalo mar bhi aaenge

    ye shaKHs aaj kuchh nahin par kal ye dekhiyo

    us ki taraf qadam hi nahin sar bhi aaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now