Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat

Ameer Minai

baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    baat karne meñ to jaatī hai mulāqāt raat

    kyā barī baat hai rah jaao yahīñ raat raat

    zarre afshāñ ke nahīñ kirmak-e-shab-tāb se kam

    hai vo zulf-e-araq-ālūd ki barsāt raat

    zāhid us zulf meñ phañs jaa.e to itnā pūchhūñ

    kahiye kis tarah kaTī qibla-e-hājāt raat

    shaam se sub.h talak chalte haiñ jām-e-mai-e-aish

    ḳhuub hotī hai basar ahl-e-ḳharābāt raat

    vasl chāhā shab-e-me.arāj to ye uzr kiyā

    hai ye allāh o payambar mulāqāt raat

    ham musāfir haiñ ye duniyā hai haqīqat meñ sarā

    hai tavaqquf hameñ is to faqat raat raat

    chal ke ab so raho bāteñ na banāo sāhib

    vasl shab hai nahīñ harf-e-hikāyāt raat

    lailatul-qadr hai vaslat duā maañg 'amīr'

    is se behtar hai kahāñ koī munājāt raat

    baat karne mein to jati hai mulaqat ki raat

    kya bari baat hai rah jao yahin raat ki raat

    zarre afshan ke nahin kirmak-e-shab-tab se kam

    hai wo zulf-e-araq-alud ki barsat ki raat

    zahid us zulf mein phans jae to itna puchhun

    kahiye kis tarah kaTi qibla-e-hajat ki raat

    sham se subh talak chalte hain jam-e-mai-e-aish

    KHub hoti hai basar ahl-e-KHarabaat ki raat

    wasl chaha shab-e-mearaj to ye uzr kiya

    hai ye allah o payambar ki mulaqat ki raat

    hum musafir hain ye duniya hai haqiqat mein sara

    hai tawaqquf hamein is ja to faqat raat ki raat

    chal ke ab so raho baaten na banao sahib

    wasl ki shab hai nahin harf-e-hikayat ki raat

    lailatul-qadr hai waslat ki dua mang 'amir'

    is se behtar hai kahan koi munajat ki raat

    Source:

    Deewan-e-Ameer (Pg. 106)

    • Author: Ameer Minai
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1922
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now