baat ki baat se Dar lagta hai
baat kÄ« baat se Dar lagtÄ hai
is musÄvÄt se Dar lagtÄ hai
tum koī baat samajhte hī nahīƱ
bas isÄ« baat se Dar lagtÄ hai
jis meƱ koÄ« na mile apne sivÄ
us mulÄqÄt se Dar lagtÄ hai
dil ba-zid hai ki vahī baat kaho
sab ko jis baat se Dar lagtÄ hai
raaz kī baat to koī bhī nahīƱ
arz-e-hÄlÄt se Dar lagtÄ hai
jin meƱ garmÄ« na ujÄle na mahak
aise din-rÄt se Dar lagtÄ hai
įø³hud ko parkhÄ to ye samjhe 'anjum'
kyuuƱ kisÄ« zaat se Dar lagtÄ hai
baat ki baat se Dar lagta hai
is musawat se Dar lagta hai
tum koi baat samajhte hi nahin
bas isi baat se Dar lagta hai
jis mein koi na mile apne siwa
us mulaqat se Dar lagta hai
dil ba-zid hai ki wahi baat kaho
sab ko jis baat se Dar lagta hai
raaz ki baat to koi bhi nahin
arz-e-haalat se Dar lagta hai
jin mein garmi na ujale na mahak
aise din-raat se Dar lagta hai
KHud ko parkha to ye samjhe 'anjum'
kyun kisi zat se Dar lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.