Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baat koi umid ki mujhse nahin kahi gai

Jaun Eliya

baat koi umid ki mujhse nahin kahi gai

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    baat koī umiid mujh se nahīñ kahī ga.ī

    so mire ḳhvāb bhī ga.e so merī niiñd bhī ga.ī

    dil thā ek mudda.ā jis ne tabāh kar diyā

    dil meñ thī ek to baat vo jo faqat sahī ga.ī

    jāniye kyā talāsh thī 'jaun' mire vajūd meñ

    jis ko maiñ DhūñDhtā gayā jo mujhe DhūñDhtī ga.ī

    ek ḳhushī haal hai ḳhush-suḳhanāñ ke darmiyāñ

    izzat-e-shā.eqīn-e-ġham thī jo rahī-sahī ga.ī

    būd-o-nabūd tamīz ek azaab thī ki thī

    ya.anī tamām zindagī dhuñd meñ Dūbtī ga.ī

    us ke jamāl thā din merā vajūd aur phir

    sub.h se dhuup bhī ga.ī raat se chāñdnī ga.ī

    jab maiñ thā shahr zaat thā mirā har-nafas azaab

    phir maiñ vahāñ thā jahāñ hālat-e-zāt bhī ga.ī

    gard-fashāñ huuñ dasht meñ sīna-zanāñ huuñ shahr meñ

    thī jo sabā-e-samt-e-dil jaane kahāñ chalī ga.ī

    tum ne bahut sharāb us sabhī ko dukh hai 'jaun'

    aur jo dukh hai vo ye hai tum ko sharāb ga.ī

    baat koi umid ki mujh se nahin kahi gai

    so mere KHwab bhi gae so meri nind bhi gai

    dil ka tha ek muddaa jis ne tabah kar diya

    dil mein thi ek hi to baat wo jo faqat sahi gai

    jaaniye kya talash thi 'jaun' mere wajud mein

    jis ko main DhunDhta gaya jo mujhe DhunDhti gai

    ek KHushi ka haal hai KHush-suKHanan ke darmiyan

    izzat-e-shaeqin-e-gham thi jo rahi-sahi gai

    bud-o-nabud ki tamiz ek azab thi ki thi

    yani tamam zindagi dhund mein Dubti gai

    us ke jamal ka tha din mera wajud aur phir

    subh se dhup bhi gai raat se chandni gai

    jab main tha shahr zat ka tha mera har-nafas azab

    phir main wahan ka tha jahan haalat-e-zat bhi gai

    gard-fashan hun dasht mein sina-zanan hun shahr mein

    thi jo saba-e-samt-e-dil jaane kahan chali gai

    tum ne bahut sharab pi us ka sabhi ko dukh hai 'jaun'

    aur jo dukh hai wo ye hai tum ko sharab pi gai

    Source:

    Goya (Pg. B-35 E-34)

    • Author: Jaun Eliya
      • Edition: 2010
      • Publisher: Takhleeqkar Publishers, Delhi
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now