baaten kahi kahi si hain
bāteñ kahī kahī sī haiñ
phir bhī na.ī na.ī sī haiñ
un kī mahfil apnī aañkh
donoñ bharī bharī sī haiñ
rah-rau kā kyā zikr yahāñ
rāheñ thakī thakī sī haiñ
dil hai umḌā umḌā sā
āñkheñ bujhī bujhī sī haiñ
un kī jafā.eñ bhī 'alvī'
kitnī bhalī bhalī sī haiñ
baaten kahi kahi si hain
phir bhi nai nai si hain
un ki mahfil apni aankh
donon bhari bhari si hain
rah-rau ka kya zikr yahan
rahen thaki thaki si hain
dil hai umDa umDa sa
aankhen bujhi bujhi si hain
un ki jafaen bhi 'alwi'
kitni bhali bhali si hain
- Book : Lifaafe Mein Raushni (Pg. 23)
- Author :Mohammad Alvi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.