bazar mein bhi garmi-e-bazar kyon nahin
bāzār meñ bhī garmī-e-bāzār kyoñ nahīñ
dekheñge log aaj kā aḳhbār kyoñ nahīñ
kahte the aap ek hī jaise haiñ aap ham
maiñ qaid huuñ to aap giraftār kyoñ nahīñ
parvā na kī usūl-parastī ke sāmne
vo yaar kyoñ nahīñ hai maiñ 'ayyār kyoñ nahīñ
nargis ke phuul mere janāze pe Daal ke
kahte ho kyoñ pasand kā iz.hār kyoñ nahīñ
qadmoñ se ab to samt kā ehsās bhī gayā
ruktī nahīñ hai vaqt kī raftār kyoñ nahīñ
hālāt ko mazīd bigāḌā to fā.eda
kyā kar rahe haiñ aap ḳhabar-dār kyoñ nahīñ
ik dūsre ke ḳhuun ke pyāse to haiñ 'nashāt'
koī kisī kā mūnis-o-ġham-ḳhvār kyoñ nahīñ
bazar mein bhi garmi-e-bazar kyon nahin
dekhenge log aaj ka aKHbar kyon nahin
kahte the aap ek hi jaise hain aap hum
main qaid hun to aap giraftar kyon nahin
parwa na ki usul-parasti ke samne
wo yar kyon nahin hai main 'ayyar kyon nahin
nargis ke phul mere janaze pe Dal ke
kahte ho kyon pasand ka izhaar kyon nahin
qadmon se ab to samt ka ehsas bhi gaya
rukti nahin hai waqt ki raftar kyon nahin
haalat ko mazid bigaDa to faeda
kya kar rahe hain aap KHabar-dar kyon nahin
ek dusre ke KHun ke pyase to hain 'nashat'
koi kisi ka munis-o-gham-KHwar kyon nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.