badan bandhe hue sanson ki rahdari mein rahte hain
badan bāñdhe hue sāñsoñ kī rahdārī meñ rahte haiñ
ki ham har dam kahīñ jaane kī tayyārī meñ rahte haiñ
na hoñ aañsū to ye āñkheñ bhalī lagtī nahīñ ham ko
so aksar aap apnī hī dil-āzārī meñ rahte haiñ
hameñ mā'lūm hai raunaq ye bāzāroñ kī jhūTī hai
magar phir bhī fareb-e-husn-e-bāzārī meñ rahte haiñ
ham ahl-e-'ishq phir ahl-e-havas se maat khā baiThe
vazīfa-ḳhvār bazm-e-husn-e-darbārī meñ rahte haiñ
hamāre dil to haiñ masrūf sarkāreñ girāne meñ
badan tā'mīl-e-ahkāmāt-e-sarkārī meñ rahte haiñ
dabe haiñ ḳhaak meñ kitne hī sūraj chāñd aur taare
so ham apnī zamīñ kī āsmāñ-kārī meñ rahte haiñ
hamārī shā'irī ik mustaqil holī kā mausam hai
hazāroñ rang is lafzoñ kī pichkārī meñ rahte haiñ
‘janāb-e-farhat-ehsās' ab na shahrī haiñ na sahrā.ī
musalsal darmiyān-e-ḳhvāb-o-be-dārī meñ rahte haiñ
badan bandhe hue sanson ki rahdari mein rahte hain
ki hum har dam kahin jaane ki tayyari mein rahte hain
na hon aansu to ye aankhen bhali lagti nahin hum ko
so aksar aap apni hi dil-azari mein rahte hain
hamein ma'lum hai raunaq ye bazaron ki jhuTi hai
magar phir bhi fareb-e-husn-e-bazari mein rahte hain
hum ahl-e-'ishq phir ahl-e-hawas se mat kha baiThe
wazifa-KHwar bazm-e-husn-e-darbari mein rahte hain
hamare dil to hain masruf sarkaren girane mein
badan ta'mil-e-ahkaamat-e-sarkari mein rahte hain
dabe hain KHak mein kitne hi suraj chand aur tare
so hum apni zamin ki aasman-kari mein rahte hain
hamari sha'iri ek mustaqil holi ka mausam hai
hazaron rang is lafzon ki pichkari mein rahte hain
‘janab-e-farhat-ehsas' ab na shahri hain na sahrai
musalsal darmiyan-e-KHwab-o-be-dari mein rahte hain
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 120)
- Author : Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.