badan ka bojh liye ruh ka azab liye
badan kā bojh liye ruuh kā 'azāb liye
kidhar ko jā.ūñ tabī'at kā iztirāb liye
yahī umiid ki shāyad ho koī chashm-ba-rāh
charāġh dil meñ liye haath meñ gulāb liye
'ajab nahīñ ki mirī tarh ye akelī raat
kisī ko DhūñDne niklī ho māhtāb liye
sivā hai shab ke añdheroñ se din kī tārīkī
ga.e vo din jo nikalte the āftāb liye
kisī ke shahr meñ mānind-e-barg-e-āvāra
phire haiñ kūcha-ba-kūcha ham apne ḳhvāb liye
kahāñ chale ho ḳhayāloñ ke shahr meñ 'sarvat'
ga.e dinoñ kī shikasta sī ye kitāb liye
badan ka bojh liye ruh ka 'azab liye
kidhar ko jaun tabi'at ka iztirab liye
yahi umid ki shayad ho koi chashm-ba-rah
charagh dil mein liye hath mein gulab liye
'ajab nahin ki meri tarh ye akeli raat
kisi ko DhunDne nikli ho mahtab liye
siwa hai shab ke andheron se din ki tariki
gae wo din jo nikalte the aaftab liye
kisi ke shahr mein manind-e-barg-e-awara
phire hain kucha-ba-kucha hum apne KHwab liye
kahan chale ho KHayalon ke shahr mein 'sarwat'
gae dinon ki shikasta si ye kitab liye
- Book : Mitti Ki Sundarta Dekho (Pg. 29)
- Author : Sarvat Husain
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.