Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

badan ke dosh pe sanson ka maqbara main hun

Zakir Khan Zakir

badan ke dosh pe sanson ka maqbara main hun

Zakir Khan Zakir

MORE BYZakir Khan Zakir

    badan ke dosh pe sāñsoñ maqbara maiñ huuñ

    ḳhud apnī zaat nauha huuñ marsiya maiñ huuñ

    bilā-sabab bhī nahīñ yāsiyat tabī.at meñ

    azal se ḳhāna-badoshī silsila maiñ huuñ

    mirā vajūd tumhārī baqā zāmin hai

    tumhāre an-kahe jazboñ aa.ina maiñ huuñ

    bahāreñ jis pe hoñ nāzāñ chaman bhī rashk kare

    nazar-navāz rutoñ vo qāfila maiñ huuñ

    bichhaḌ ke mujh se abas manziloñ chāhat hai

    jidhar bhī jāoge har-samt rāsta maiñ huuñ

    un āhaToñ pe mirī vahm gumāñ kaisā

    maiñ kah chukā huuñ mirī jaan bārhā maiñ huuñ

    ġhazal hai koī to maiñ bhī huuñ lāzmī hissa

    kisī hayāt ke misre meñ qāfiya maiñ huuñ

    tumheñ ḳhabar ho to denā pata mujhe 'zākir'

    jise talāsh hai ḳhud vo gum-shuda maiñ huuñ

    badan ke dosh pe sanson ka maqbara main hun

    KHud apni zat ka nauha hun marsiya main hun

    bila-sabab bhi nahin yasiyat tabiat mein

    azal se KHana-badoshi ka silsila main hun

    mera wajud tumhaari baqa ka zamin hai

    tumhaare an-kahe jazbon ka aaina main hun

    bahaaren jis pe hon nazan chaman bhi rashk kare

    nazar-nawaz ruton ka wo qafila main hun

    bichhaD ke mujh se abas manzilon ki chahat hai

    jidhar bhi jaoge har-samt rasta main hun

    un aahaTon pe meri wahm ka guman kaisa

    main kah chuka hun meri jaan barha main hun

    ghazal hai koi to main bhi hun lazmi hissa

    kisi hayat ke misre mein qafiya main hun

    tumhein KHabar ho to dena pata mujhe 'zakir'

    jise talash hai KHud ki wo gum-shuda main hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now