baDha diya hai mohabbat ne intishaar mera
baḌhā diyā hai mohabbat ne intishār mirā
kisī ikaa.ī meñ hotā nahīñ shumār mirā
maiñ apnī ruuh kā mehmāñ huā huuñ raat kī raat
mirā badan na kare aaj intizār mirā
ye maiñ ki shām-e-tamāsha kī bhiiḌ meñ gum huuñ
diye ne naam pukārā hai baar baar mirā
tū apne ashk-e-tapāñ se mujhe judā to na jaan
ḳhabar nahīñ isī lau par hai inhisār mirā
ye merā taur ki ḳhāmosh rahnā ḳhush rahnā
ye dil kā shor ki samjhā nahīñ shi'ār mirā
milā diyā hai charāġhoñ kī sat.h se maiñ ne
isī qadar thā sitāroñ pe iḳhtiyār mirā
baDha diya hai mohabbat ne intishaar mera
kisi ikai mein hota nahin shumar mera
main apni ruh ka mehman hua hun raat ki raat
mera badan na kare aaj intizar mera
ye main ki sham-e-tamasha ki bhiD mein gum hun
diye ne nam pukara hai bar bar mera
tu apne ashk-e-tapan se mujhe juda to na jaan
KHabar nahin isi lau par hai inhisar mera
ye mera taur ki KHamosh rahna KHush rahna
ye dil ka shor ki samjha nahin shi'ar mera
mila diya hai charaghon ki sath se main ne
isi qadar tha sitaron pe iKHtiyar mera
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 29)
- Author :Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.