baDha ke hath andhere hamein bulane lage
baḌhā ke haath añdhere hameñ bulāne lage
dahakte ġhaar meñ jab ham qadam baḌhāne lage
siyāh peḌ pe ulTī laTak ga.iiñ āñkheñ
ulajh ke shāḳhoñ meñ kuchh saa.e phaḌphaḌāne lage
ye itnī raat ko darvāza pīTtā hai kaun
'ajīb vāhime dil meñ mire samāne lage
sabhī chimaT ga.e taḳhtoñ se jab uThā tūfāñ
havā thamī to samundar ke giit gaane lage
Dhakā thā raat kī zulmat se 'zeb' shahr tamām
khulī jo qaab to kiiḌe se kulbulāne lage
baDha ke hath andhere hamein bulane lage
dahakte ghaar mein jab hum qadam baDhane lage
siyah peD pe ulTi laTak gain aankhen
ulajh ke shaKHon mein kuchh sae phaDphaDane lage
ye itni raat ko darwaza piTta hai kaun
'ajib wahime dil mein mere samane lage
sabhi chimaT gae taKHton se jab uTha tufan
hawa thami to samundar ke git gane lage
Dhaka tha raat ki zulmat se 'zeb' shahr tamam
khuli jo qab to kiDe se kulbulane lage
- Book : Dheemi Aanch ka Sitaara (Pg. 63)
- Author :Zeb Ghauri
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.