Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDhti jati hai pyas aankhon ki

Ali Qaisar

baDhti jati hai pyas aankhon ki

Ali Qaisar

MORE BYAli Qaisar

    baḌhtī jaatī hai pyaas āñkhoñ

    baat samjho udaas āñkhoñ

    ik ishārā hai mast nazroñ

    ik nishānī hai ḳhaas āñkhoñ

    tere chhāle mujhe batāte haiñ

    ne chakh miThās āñkhoñ

    sab ko har vaqt ghūrtī haiñ ye

    koī to le class āñkhoñ

    ashk-rezī maiñ kartā rahtā huuñ

    taaki nikle bhaḌās āñkhoñ

    tum zarā us taraf nigāh karo

    lau sambhālegā daas āñkhoñ

    maañ bīnā.ī bujh ga.ī lekin

    TūTtī kab hai aas āñkhoñ

    baDhti jati hai pyas aankhon ki

    baat samjho udas aankhon ki

    ek ishaara hai mast nazron ka

    ek nishani hai KHas aankhon ki

    tere chhaale mujhe batate hain

    tu ne chakh li miThas aankhon ki

    sab ko har waqt ghurti hain ye

    koi to le class aankhon ki

    ashk-rezi main karta rahta hun

    taki nikle bhaDas aankhon ki

    tum zara us taraf nigah karo

    lau sambhaalega das aankhon ki

    man ki binai bujh gai lekin

    TuTti kab hai aas aankhon ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now