Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai

Bebak  Bhojpuri

baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai

Bebak Bhojpuri

MORE BYBebak Bhojpuri

    baḌī dil-shikan hai rah-e-safar koī ham-safar hai na yaar hai

    ki javāñ-asar hai tamām shai na sukūn hai na qarār hai

    zarā tez-gām baḌhe chalo hai fazā-e-sahrā musāfiro

    jahāñ aañkh dil jhapak ga.ī vahīñ zindagī mazār hai

    na rumūz-e-ishq se bā-ḳhabar na mizāj-e-husn se āgahī

    ye mazāq-e-rāmish-o-rañg bhī rah-e-rāstī se farār hai

    na kisī meñ husn-e-hayā rahā na kisī meñ bū-e-vafā rahī

    abhī dosh-e-aql pe sar-basar koī dev-e-makr savār hai

    hai zamīr-e-zinda ke vāste to bisāt-e-gul bhī tabāh-kun

    mire ham-jalīs ḳhabar bhī hai yahī āstīn maar hai

    tirī be-panāh navāzisheñ tirī be-hisāb ināyateñ

    mirī rūsiyāhī-e-gūnāgūñ hisāb hai na shumār hai

    tirī rahmatoñ se hai duur kab mirī chāra-sāzī-e-be-kasī

    kisī ġham-nasīb dahr meñ ye sadā se ḳhaas pukār hai

    na kisī se adl baat kar na kisī se ḳhair rakh talab

    ki matā-e-nūr-e-sahar yahāñ shab-e-tīra-e-tar pe nisār hai

    tirī pand ḳhair-asar nahīñ tirī bandagī bhī ġhalat-nigar

    tirā fikr nāseh-e-mohtaram abhī muflisī shikār hai

    baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai

    ki jawan-asar hai tamam shai na sukun hai na qarar hai

    zara tez-gam baDhe chalo hai faza-e-sahra musafiro

    jahan aankh dil ki jhapak gai wahin zindagi ka mazar hai

    na rumuz-e-ishq se ba-KHabar na mizaj-e-husn se aagahi

    ye mazaq-e-ramish-o-rang bhi rah-e-rasti se farar hai

    na kisi mein husn-e-haya raha na kisi mein bu-e-wafa rahi

    abhi dosh-e-aql pe sar-basar koi dew-e-makr sawar hai

    hai zamir-e-zinda ke waste to bisat-e-gul bhi tabah-kun

    mere ham-jalis KHabar bhi hai yahi aastin ka mar hai

    teri be-panah nawazishen teri be-hisab inayaten

    meri rusiyahi-e-gunagun ka hisab hai na shumar hai

    teri rahmaton se hai dur kab meri chaara-sazi-e-be-kasi

    kisi gham-nasib ki dahr mein ye sada se KHas pukar hai

    na kisi se adl ki baat kar na kisi se KHair ki rakh talab

    ki mata-e-nur-e-sahar yahan shab-e-tira-e-tar pe nisar hai

    teri pand KHair-asar nahin teri bandagi bhi ghalat-nigar

    tera fikr naseh-e-mohtaram abhi muflisi ka shikar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now