baDi mushkil thi duniya se hamein do-chaar hona tha
baḌī mushkil thī duniyā se hameñ do-chār honā thā
aur us par ye musībat sāhab-e-kirdār honā thā
jahāñ ḳhāmosh rahnā thā vahāñ iz.hār kar baiThe
vahāñ ḳhāmosh baiThe haiñ jahāñ iz.hār honā thā
hamārī zindagī ke sānhe bhī kyā 'ajab guzre
usī par mar miTe jis se hameñ bezār honā thā
udhar un ko bhī duniyā ko dikhānā thā hunar apnā
idhar ham ko bhī be-parda sar-e-bāzār honā thā
sunāte rah ga.e behis zamāne ko ġhazal apnī
kise sarshār karte ham kise sarshār honā thā
hamāre TūTne ko hādsa samjhā gayā lekin
hamāre TūTne se rāsta tayyār honā thā
hazāroñ be-asar manzar nigāhoñ meñ bhare lekin
vahāñ āñkheñ gañvā baiThe jahāñ dīdār honā thā
baDi mushkil thi duniya se hamein do-chaar hona tha
aur us par ye musibat sahab-e-kirdar hona tha
jahan KHamosh rahna tha wahan izhaar kar baiThe
wahan KHamosh baiThe hain jahan izhaar hona tha
hamari zindagi ke sanhe bhi kya 'ajab guzre
usi par mar miTe jis se hamein bezar hona tha
udhar un ko bhi duniya ko dikhana tha hunar apna
idhar hum ko bhi be-parda sar-e-bazar hona tha
sunate rah gae behis zamane ko ghazal apni
kise sarshaar karte hum kise sarshaar hona tha
hamare TuTne ko hadsa samjha gaya lekin
hamare TuTne se rasta tayyar hona tha
hazaron be-asar manzar nigahon mein bhare lekin
wahan aankhen ganwa baiThe jahan didar hona tha
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 42)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.