aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDi tamanna hai jaun su-e-sitam kisi din

Nazim Sultanpuri

baDi tamanna hai jaun su-e-sitam kisi din

Nazim Sultanpuri

MORE BYNazim Sultanpuri

    baḌī tamannā hai jā.ūñ sū-e-sitam kisī din

    mizāj pūchhe to koī ahl-e-karam kisī din

    vo bhīgā chehra sabhoñ se haT kar savāl pūchhe

    hamārī āñkhoñ aag hogī na kam kisī din

    hamāre maslak aadmī kyā kahegā ham ko

    jo Dhal ga.e maslahat ke sāñche meñ ham kisī din

    hamāre mābain bad-gumānī iiñT kaisī

    mile jo mauqa to pūchheñ tujh se sanam kisī din

    jo ā.īne meñ tumhāre jaage vo aks rakh lo

    ye bhiiḌ parchhā.iyoñ hogī na kam kisī din

    tumheñ bhī ham zindagī koī salāh deñge

    samajh ga.e dhūp-chhāñv apnī jo ham kisī din

    hamāre hisse raushnī tum jagā.e rakhnā

    ki tīrgī ke safar se lauTeñge ham kisī din

    baDi tamanna hai jaun su-e-sitam kisi din

    mizaj puchhe to koi ahl-e-karam kisi din

    wo bhiga chehra sabhon se haT kar sawal puchhe

    hamari aankhon ki aag hogi na kam kisi din

    hamare maslak ka aadmi kya kahega hum ko

    jo Dhal gae maslahat ke sanche mein hum kisi din

    hamare mabain bad-gumani ki inT kaisi

    mile jo mauqa to puchhen tujh se sanam kisi din

    jo aaine mein tumhaare jage wo aks rakh lo

    ye bhiD parchhaiyon ki hogi na kam kisi din

    tumhein bhi hum zindagi ki koi salah denge

    samajh gae dhup-chhanw apni jo hum kisi din

    hamare hisse ki raushni tum jagae rakhna

    ki tirgi ke safar se lauTenge hum kisi din

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 783)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now